Mein andhero me ujale dhoondhta hoon,
dhundh me dilkash nazare dhoondhta hoon,
bin teri marzi ke kuch mumkin nahi hai,
har kadam,tere ishaare dhoondhta hoon.
In lakeeron me wo kismat dhoondhte hain,
main jehan* me wo khajaane dhoondhta hoon,
Apni marzi se likhoon apni lakeerein,
isliye ab kuch sharaare** dhoondhta hoon.
-Akash
References:
*jehan = dimaag, brain
**sharaare = chingaariyan, spark
Dhoondhta hoon...
under:
poetry
SIr kya hua .... have u started drinking a lot or its just natural talent ;-)...or something else
kya baat hai ji......
bahut khoob.......
bahut tez chal rahi hai lekhni aajkal......
badhiya hai ........:-)
Dwivedi ke valuable inputs(offline) ke liye bahut bahut shukriyan :)
u'r always welcome for any inputs......whether valuable or invaluable......:-)
bharhaal khayaal acha hai........keep it up.....
very nice...
Ati sundar!!!... it took me two days to believe that its your own art :)
Beware DwivediJi, tumhara competitor paida ho gaya aur bahut tezi se pragati bhi kar raha hai... ye rachna to sachmuch krantikari thi... bahut achchhe! :)